dil pe guzri jo zaban tak nahin lane wale
dil pe guzrī jo zabāñ tak nahīñ laane vaale
ham haiñ zaḳhmoñ ke bahut naaz uThāne vaale
kaisī bastī hai ḳhudā jaane ye asrār hai kyā
lauT kar phir nahīñ aate kabhī jaane vaale
tū bahut shor machātā hai mire pahlū meñ
ham tirī baat meñ ai dil nahīñ aane vaale
apnī barbādī kā ham ko to koī ġham bhī nahīñ
kyoñ qayāmat ye uThāte haiñ zamāne vaale
tujh ko fursat nahīñ duniyā to koī baat nahīñ
qissa-e-dard kahāñ ham bhī sunāne vaale
biich rasta meñ badal lī haiñ jo rāheñ tum ne
duur tak ham bhī kahāñ saath the jaane vaale
apnī miTTī kī mohabbat meñ hue ḳhvār 'nadīm'
gaañv ko chhoḌ ke jaate rahe jaane vaale
dil pe guzri jo zaban tak nahin lane wale
hum hain zaKHmon ke bahut naz uThane wale
kaisi basti hai KHuda jaane ye asrar hai kya
lauT kar phir nahin aate kabhi jaane wale
tu bahut shor machata hai mere pahlu mein
hum teri baat mein ai dil nahin aane wale
apni barbaadi ka hum ko to koi gham bhi nahin
kyon qayamat ye uThate hain zamane wale
tujh ko fursat nahin duniya to koi baat nahin
qissa-e-dard kahan hum bhi sunane wale
bich rasta mein badal li hain jo rahen tum ne
dur tak hum bhi kahan sath the jaane wale
apni miTTi ki mohabbat mein hue KHwar 'nadim'
ganw ko chhoD ke jate rahe jaane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.