dil pe jab tera tasawwur chha gaya
dil pe jab terā tasavvur chhā gayā
zindagī kā aa.ina dhuñdlā gayā
umr-bhar koī ḳhushī aa.ī na raas
ruuTh kar us dil se to achchhā gayā
aadmī ke aa.ine meñ dekh kar
apnī sūrat se ḳhudā sharmā gayā
maiñ to ro ro kar sadā khultā rahā
tū ai gul hañsne pe bhī murjhā gayā
de ke koī muskurāhaT kā kafan
aarzū ko dil meñ hī dafnā gayā
le ke aa.e the muqaddar qais kā
saath apne har jagah sahrā gayā
dil to thā shīshe kā go 'sīmāb' kā
pattharoñ ke shahr meñ pathrā gayā
dil pe jab tera tasawwur chha gaya
zindagi ka aaina dhundla gaya
umr-bhar koi KHushi aai na ras
ruTh kar us dil se to achchha gaya
aadmi ke aaine mein dekh kar
apni surat se KHuda sharma gaya
main to ro ro kar sada khulta raha
tu ai gul hansne pe bhi murjha gaya
de ke koi muskurahaT ka kafan
aarzu ko dil mein hi dafna gaya
le ke aae the muqaddar qais ka
sath apne har jagah sahra gaya
dil to tha shishe ka go 'simab' ka
pattharon ke shahr mein pathra gaya
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 176)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.