dil pe jab wo nigah hoti hai
dil pe jab vo nigāh hotī hai
merī duniyā tabāh hotī hai
tū jo aatā hai yaad furqat meñ
kitnī mushkil se aah hotī hai
zindagī ishq meñ ḳhudā jaane
bantī hai yā tabāh hotī hai
ab to iḳhfā-e-dard kī koshish
haa.e majbūr-e-āh hotī hai
husn jis se ki husn bantā hai
ishq kī vo nigāh hotī hai
jo uThe aur uTh ke rah jaa.e
vo nigah be-panāh hotī hai
jis kī lazzat se thī hayāt-e-alam
vo ḳhalish gāh-gāh hotī hai
pārsā.ī hai zindagī 'sāqib'
kyoñ ye sarf-e-gunāh hotī hai
dil pe jab wo nigah hoti hai
meri duniya tabah hoti hai
tu jo aata hai yaad furqat mein
kitni mushkil se aah hoti hai
zindagi ishq mein KHuda jaane
banti hai ya tabah hoti hai
ab to iKHfa-e-dard ki koshish
hae majbur-e-ah hoti hai
husn jis se ki husn banta hai
ishq ki wo nigah hoti hai
jo uThe aur uTh ke rah jae
wo nigah be-panah hoti hai
jis ki lazzat se thi hayat-e-alam
wo KHalish gah-gah hoti hai
parsai hai zindagi 'saqib'
kyon ye sarf-e-gunah hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.