dil pe jazbon ka raj hai sahab
dil pe jazboñ kā raaj hai sāhab
ishq apnā mizāj hai sāhab
dasht kī ret hai bahut pyāsī
ābloñ kā ḳhirāj hai sāhab
pās-e-hurmat nahīñ hai lafzoñ kī
kaisā vahshī samāj hai sāhab
aap ko bhuul hī nahīñ paatī
merā koī ilaaj hai sāhab
saañs bhī Thiik se nahīñ aatā
nafratoñ kā rivāj hai sāhab
kuchh bhī badlā nahīñ hai duniyā meñ
jo bhī kal thā vo aaj hai sāhab
merā hissa nahīñ muqaddar meñ
ye mirā ehtijāj hai sāhab
dil pe jazbon ka raj hai sahab
ishq apna mizaj hai sahab
dasht ki ret hai bahut pyasi
aablon ka KHiraj hai sahab
pas-e-hurmat nahin hai lafzon ki
kaisa wahshi samaj hai sahab
aap ko bhul hi nahin pati
mera koi ilaj hai sahab
sans bhi Thik se nahin aata
nafraton ka riwaj hai sahab
kuchh bhi badla nahin hai duniya mein
jo bhi kal tha wo aaj hai sahab
mera hissa nahin muqaddar mein
ye mera ehtijaj hai sahab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.