dil pe kaisi ye bipta paDi
dil pe kaisī ye biptā paḌī
hai ravāñ āñsuoñ kī jhaḌī
phir nazar us nazar se laḌī
aage aage hai manzil kaḌī
zikr in ārizoñ kā hasīñ
baat un gesuoñ kī baḌī
chhāñv zulfoñ kī phir DhūñD lo
dhuup hai saḳht manzil kaḌī
un ko zebā hai un kā mahal
mujh ko pyārī mirī jhoñpaḌī
soch le ġham kā saudā na kar
ġham 'jamālī' hai ne.amat baḌī
dil pe kaisi ye bipta paDi
hai rawan aansuon ki jhaDi
phir nazar us nazar se laDi
aage aage hai manzil kaDi
zikr in aarizon ka hasin
baat un gesuon ki baDi
chhanw zulfon ki phir DhunD lo
dhup hai saKHt manzil kaDi
un ko zeba hai un ka mahal
mujh ko pyari meri jhonpaDi
soch le gham ka sauda na kar
gham 'jamali' hai neamat baDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.