dil pe kuchh aise kisi yaad ke dar khulte hain
dil pe kuchh aise kisī yaad ke dar khulte haiñ
jaise sahrāoñ kī vus.at meñ safar khulte haiñ
ham se milte haiñ sar-e-dasht bagūle jhuk kar
paañv dariyāoñ meñ rakkheñ to bhañvar khulte haiñ
rāh-gum-karda sitāroñ ke liye āḳhir-e-shab
ham faqīrān-e-dar-e-ishq ke ghar khulte haiñ
kaun se log haiñ jo phirte haiñ ta.abīr liye
kin duāoñ ke liye bāb-e-asar khulte haiñ
aag taḳhlīq kī jab ruuh ko laavā kar de
tab kahīñ jā ke mirī jaan hunar khulte haiñ
roz dastak sī koī detā hai siine pe 'nabīl'
roz mujh meñ kisī āvāz ke par khulte haiñ
dil pe kuchh aise kisi yaad ke dar khulte hain
jaise sahraon ki wusat mein safar khulte hain
hum se milte hain sar-e-dasht bagule jhuk kar
panw dariyaon mein rakkhen to bhanwar khulte hain
rah-gum-karda sitaron ke liye aaKHir-e-shab
hum faqiran-e-dar-e-ishq ke ghar khulte hain
kaun se log hain jo phirte hain tabir liye
kin duaon ke liye bab-e-asar khulte hain
aag taKHliq ki jab ruh ko lawa kar de
tab kahin ja ke meri jaan hunar khulte hain
roz dastak si koi deta hai sine pe 'nabil'
roz mujh mein kisi aawaz ke par khulte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.