dil pe zaKHm khane se ashk-e-KHun bahane tak
dil pe zaKHm khane se ashk-e-KHun bahane tak
Mansha ur Rahman Khan Mansha
MORE BYMansha ur Rahman Khan Mansha
dil pe zaḳhm khāne se ashk-e-ḳhūñ bahāne tak
ham ne ġham sahe kyā kyā kaif-e-zīst paane tak
fasl-e-nau-bahārāñ ko kyā ḳhabar ki ġhunchoñ par
kitne hashr guzre haiñ khil ke muskurāne tak
dil ne azm-o-himmat se kaam le liyā varna
ham pe kyā nahīñ biitī aarzū bar aane tak
iztirāb-e-paiham se zindagī ibārat hai
dil kī qadr-o-qīmat hai nāz-e-ġham uThāne tak
manziloñ kī dushvārī rāstoñ ke sannāTe
haiñ tamām andeshe ik qadam baḌhāne tak
ho fazā kī vus.at kā us ko ḳhaak andāza
hadd-e-fikr ho jis kī apne āshiyāne tak
sach to hai yahī 'manshā' zindagī kī rāhoñ meñ
tīrgī kā ḳhatra hai sham-e-dil jalāne tak
dil pe zaKHm khane se ashk-e-KHun bahane tak
hum ne gham sahe kya kya kaif-e-zist pane tak
fasl-e-nau-bahaaran ko kya KHabar ki ghunchon par
kitne hashr guzre hain khil ke muskurane tak
dil ne azm-o-himmat se kaam le liya warna
hum pe kya nahin biti aarzu bar aane tak
iztirab-e-paiham se zindagi ibarat hai
dil ki qadr-o-qimat hai naz-e-gham uThane tak
manzilon ki dushwari raston ke sannaTe
hain tamam andeshe ek qadam baDhane tak
ho faza ki wusat ka us ko KHak andaza
hadd-e-fikr ho jis ki apne aashiyane tak
sach to hai yahi 'mansha' zindagi ki rahon mein
tirgi ka KHatra hai sham-e-dil jalane tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.