dil phir hai justuju mein pareshan bura hua
dil phir hai justuju mein pareshan bura hua
Bishan Dayal Shad Dehlvi
MORE BYBishan Dayal Shad Dehlvi
dil phir hai justujū meñ pareshāñ burā huā
mushkil nazar kī ho ga.ī āsāñ burā huā
achchhā huā yā dard kā darmāñ burā huā
honā kisī kā husn pe nāzāñ burā huā
taskīn mil rahī hai tasavvur se raat din
apnā rahā na koī nigahbāñ burā hai
machle hue shabāb ke āsār dekh kar
hushiyār ho gayā ġham-e-nādāñ burā huā
sach pūchhiye to husn ke har jalva-zār meñ
insāñ-farosh diin kā īmāñ burā huā
duniyā parakh chuke haiñ mahāsin hayāt ke
niyyat meñ farq aayā ki insāñ burā huā
bas aabrū kā mol hai jiine meñ jis tarah
ḳhushbū ga.ī ki rang-e-gulistāñ burā huā
āḳhir supurd-e-ḳhāk huā ḳhāksār bhī
miTTī meñ mil gayā tirā ehsāñ burā huā
samjhā thā jis ko ġhair kisī din nigāh ne
vo dard dil meñ ho gayā mehmāñ burā huā
ik ġham se jazb-e-'shād' ke dariyā utar ga.e
sāhil-navāz ho gayā tūfāñ burā huā
dil phir hai justuju mein pareshan bura hua
mushkil nazar ki ho gai aasan bura hua
achchha hua ya dard ka darman bura hua
hona kisi ka husn pe nazan bura hua
taskin mil rahi hai tasawwur se raat din
apna raha na koi nigahban bura hai
machle hue shabab ke aasar dekh kar
hushiyar ho gaya gham-e-nadan bura hua
sach puchhiye to husn ke har jalwa-zar mein
insan-farosh din ka iman bura hua
duniya parakh chuke hain mahasin hayat ke
niyyat mein farq aaya ki insan bura hua
bas aabru ka mol hai jine mein jis tarah
KHushbu gai ki rang-e-gulistan bura hua
aaKHir supurd-e-KHak hua KHaksar bhi
miTTi mein mil gaya tera ehsan bura hua
samjha tha jis ko ghair kisi din nigah ne
wo dard dil mein ho gaya mehman bura hua
ek gham se jazb-e-'shad' ke dariya utar gae
sahil-nawaz ho gaya tufan bura hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.