dil pur-awaz hai zaban KHamosh
dil pur-āvāz hai zabāñ ḳhāmosh
gosh-e-dil ke liye sukūt ḳharosh
larzish-e-bāda hai ye sāġhar meñ
yā vo mahv-e-ḳhirām zulf-ba-dosh
paas ke paas aur duur ke duur
dil meñ maujūd aañkh se rū-posh
kyā uḌe hosh jab naqāb uḌe
kyā hai terā hijāb merā hosh
chāñd niklā hai sogvārāna
shab-e-ġham chāñdnī udaas ḳhamosh
kyā gulistāñ meñ aag barsī hai
ġhuncha-o-gul tamām sho'la-posh
laakh baar aazmā chukā huuñ 'zahīn'
dil kī āvāz hai navā-e-sarosh
dil pur-awaz hai zaban KHamosh
gosh-e-dil ke liye sukut KHarosh
larzish-e-baada hai ye saghar mein
ya wo mahw-e-KHiram zulf-ba-dosh
pas ke pas aur dur ke dur
dil mein maujud aankh se ru-posh
kya uDe hosh jab naqab uDe
kya hai tera hijab mera hosh
chand nikla hai sogwarana
shab-e-gham chandni udas KHamosh
kya gulistan mein aag barsi hai
ghuncha-o-gul tamam sho'la-posh
lakh bar aazma chuka hun 'zahin'
dil ki aawaz hai nawa-e-sarosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.