dil rahega yunhi betab nazar aata hai
dil rahegā yūñhī betāb nazar aatā hai
jāgne par bhī vahī ḳhvāb nazar aatā hai
sāmne dekhūñ to paḌtā hai mire dil pe vo aks
muḌ ke dekhūñ to vo mahtāb nazar aatā hai
khaa.e jaatā hai mire baaġh ke har peḌ ko ghun
duur hī duur se shādāb nazar aatā hai
ġhusl ke vāste shabnam nahīñ hogī kaafī
sāya-e-gul jo tah-e-āb nazar aatā hai
hai mirī niiñd ke malbe pe hī ta.amīr us kī
ye jo ik ḳhvāb pas-e-ḳhvāb nazar aatā hai
kyā ajab shahr-e-tamannā thā abhī aur pal meñ
parda-e-chashm pe sailāb nazar aatā hai
dil rahega yunhi betab nazar aata hai
jagne par bhi wahi KHwab nazar aata hai
samne dekhun to paDta hai mere dil pe wo aks
muD ke dekhun to wo mahtab nazar aata hai
khae jata hai mere bagh ke har peD ko ghun
dur hi dur se shadab nazar aata hai
ghusl ke waste shabnam nahin hogi kafi
saya-e-gul jo tah-e-ab nazar aata hai
hai meri nind ke malbe pe hi tamir us ki
ye jo ek KHwab pas-e-KHwab nazar aata hai
kya ajab shahr-e-tamanna tha abhi aur pal mein
parda-e-chashm pe sailab nazar aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.