dil rashk-e-aftab nazar aa raha hai aaj
dil rashk-e-āftāb nazar aa rahā hai aaj
bilkul tirā javāb nazar aa rahā hai aaj
ḳhud husn be-naqāb nazar aa rahā hai aaj
kitnā hasīn ḳhvāb nazar aa rahā hai aaj
merī nigāh-e-shauq kī tāsīr dekhiye
jalvoñ meñ iztirāb nazar aa rahā hai aaj
har-har nafas pe ek qayāmat guzar ga.ī
dil phir bhī mahv-e-ḳhvāb nazar aa rahā hai aaj
'maḳhmūr' kis ne dekh liyā chashm-e-mast se
dil be-ḳhud-o-ḳharāb nazar aa rahā hai aaj
dil rashk-e-aftab nazar aa raha hai aaj
bilkul tera jawab nazar aa raha hai aaj
KHud husn be-naqab nazar aa raha hai aaj
kitna hasin KHwab nazar aa raha hai aaj
meri nigah-e-shauq ki tasir dekhiye
jalwon mein iztirab nazar aa raha hai aaj
har-har nafas pe ek qayamat guzar gai
dil phir bhi mahw-e-KHwab nazar aa raha hai aaj
'maKHmur' kis ne dekh liya chashm-e-mast se
dil be-KHud-o-KHarab nazar aa raha hai aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.