dil ro raha hai aankh mein lekin nami nahin
dil ro rahā hai aañkh meñ lekin namī nahīñ
jiine ko jī rahā huuñ magar zindagī nahīñ
us ko na pā sake jise chāhā tamām umr
yuuñ to mujhe jahān meñ koī kamī nahīñ
thā pās-e-ābrū-e-mohabbat tamām umr
ik buuñd bhī palak se hamārī girī nahīñ
rahmat kā kyā javāb hai terī vagarna yaañ
vo kaun sī ḳhatā hai jo ham se huī nahīñ
'hairat' laboñ ko sī ke guzārī tamām umr
is zindagī se phir bhī hamārī banī nahīñ
dil ro raha hai aankh mein lekin nami nahin
jine ko ji raha hun magar zindagi nahin
us ko na pa sake jise chaha tamam umr
yun to mujhe jahan mein koi kami nahin
tha pas-e-abru-e-mohabbat tamam umr
ek bund bhi palak se hamari giri nahin
rahmat ka kya jawab hai teri wagarna yan
wo kaun si KHata hai jo hum se hui nahin
'hairat' labon ko si ke guzari tamam umr
is zindagi se phir bhi hamari bani nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.