dil rota nahin yunhi hamara
dil rotā nahīñ yūñhī hamārā
gum ho gayā hai koī hamārā
ḳhushbū ye kahāñ se aa rahī hai
jab phuul hai kāġhazī hamārā
filhāl nahīñ vujūd us kā
jo rishta hai āḳhirī hamārā
aate hī kisī kī yaad achānak
dhaḌkegā ye dil abhī hamārā
dekho to sahī kahānī apnī
kirdār hai markazī hamārā
ham apne dukhoñ se khelte haiñ
hai tarz-e-bayāñ yahī hamārā
jo kaam 'zahūr' kar rahe haiñ
mat samjho vo sarsarī hamārā
dil rota nahin yunhi hamara
gum ho gaya hai koi hamara
KHushbu ye kahan se aa rahi hai
jab phul hai kaghazi hamara
filhaal nahin wujud us ka
jo rishta hai aaKHiri hamara
aate hi kisi ki yaad achanak
dhaDkega ye dil abhi hamara
dekho to sahi kahani apni
kirdar hai markazi hamara
hum apne dukhon se khelte hain
hai tarz-e-bayan yahi hamara
jo kaam 'zahur' kar rahe hain
mat samjho wo sarsari hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.