dil-ruba tujh sa dusra na hua
dil-rubā tujh sā dūsrā na huā
ai hasīñ tū magar ḳhudā na huā
jo mohabbat meñ mubtalā na huā
dard-e-dil se vo āshnā na huā
merī miTTī vahāñ pahuñch jaatī
tujh se itnā bhī ai sabā na huā
roz aate haiñ vo ayādat ko
maiñ na achchhā huā burā na huā
tū hamesha judā rahā mujh se
terā armāñ kabhī judā na huā
apnī rusvā.ī un kī badnāmī
is mohabbat meñ haa.e kyā na huā
bevafā.ī kī had hai ye 'muztar'
rah ke pahlū meñ dil mirā na huā
dil-ruba tujh sa dusra na hua
ai hasin tu magar KHuda na hua
jo mohabbat mein mubtala na hua
dard-e-dil se wo aashna na hua
meri miTTi wahan pahunch jati
tujh se itna bhi ai saba na hua
roz aate hain wo ayaadat ko
main na achchha hua bura na hua
tu hamesha juda raha mujh se
tera arman kabhi juda na hua
apni ruswai un ki badnami
is mohabbat mein hae kya na hua
bewafai ki had hai ye 'muztar'
rah ke pahlu mein dil mera na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.