dil sa paband-e-tahammul dusra koi nahin
dil sā pāband-e-tahammul dūsrā koī nahīñ
TūTtā rahtā hai shīsha aur sadā koī nahīñ
dil kī dhaḌkan rahnumā hai justujū-e-shauq meñ
ik sadā kānoñ meñ aatī hai patā koī nahīñ
kam ziyāda kā gila kyā apnā apnā zarf hai
bāda-ḳhvāro is meñ saaqī kī ḳhatā koī nahīñ
sajda-gāh-e-shauq thā un ke qadam kā har nishāñ
dekh lo naqsh-e-jabīñ ab naqsh-e-pā koī nahīñ
harf jitne husn ke haiñ utne hī haiñ ishq ke
palle donoñ dekhiye kam aur sivā koī nahīñ
ḳhāmushī hai ahl-e-ġhairat kī tarīq-e-arz-e-hāl
ye na samjheñ aap dil meñ mudda.ā koī nahīñ
Dar nahīñ 'navvāb' tūfāñ-ḳhez maujoñ kā mujhe
saath apne hai ḳhudā gar nā-ḳhudā koī nahīñ
dil sa paband-e-tahammul dusra koi nahin
TuTta rahta hai shisha aur sada koi nahin
dil ki dhaDkan rahnuma hai justuju-e-shauq mein
ek sada kanon mein aati hai pata koi nahin
kam ziyaada ka gila kya apna apna zarf hai
baada-KHwaro is mein saqi ki KHata koi nahin
sajda-gah-e-shauq tha un ke qadam ka har nishan
dekh lo naqsh-e-jabin ab naqsh-e-pa koi nahin
harf jitne husn ke hain utne hi hain ishq ke
palle donon dekhiye kam aur siwa koi nahin
KHamushi hai ahl-e-ghairat ki tariq-e-arz-e-haal
ye na samjhen aap dil mein muddaa koi nahin
Dar nahin 'nawwab' tufan-KHez maujon ka mujhe
sath apne hai KHuda gar na-KHuda koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.