dil sanbhalta nahin sambhaale se
dil sañbhaltā nahīñ sambhāle se
yuuñ dhaḌaktā hai ik havāle se
dūdhiyā ho ga.ī fazā saarī
chāñdnī raat ke ujāle se
sāqiyā lā mujhe surāhī de
pyaas bujhtī nahīñ piyāle se
goriyāñ kar rahī haiñ pūjā-pāT
ghanTiyāñ baj uThīñ shivāle se
bū hai bārūd kī fazāoñ meñ
khetiyāñ bhī jalīñ jvāle se
vo jo do vaqt kā rahe bhūkā
mutma.in kyā ho do nivāle se
dil sanbhalta nahin sambhaale se
yun dhaDakta hai ek hawale se
dudhiya ho gai faza sari
chandni raat ke ujale se
saqiya la mujhe surahi de
pyas bujhti nahin piyale se
goriyan kar rahi hain puja-paT
ghanTiyan baj uThin shiwale se
bu hai barud ki fazaon mein
khetiyan bhi jalin jwale se
wo jo do waqt ka rahe bhuka
mutmain kya ho do niwale se
- Book : Monthly Adab-e-Latif (Pg. 121)
- Author : Siddiqah Begum
- Publication : Aaftab Ahmed Chaudhry (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.