dil sarabon se guzar kar shad rakh
dil sarāboñ se guzar kar shaad rakh
dasht meñ dariyā kā manzar yaad rakh
sar asīr-e-sar-bulandī hī rahe
kaj-kulāhī se magar āzād rakh
is jahāñ meñ hai zavālī har uruuj
yaad itnā ai sitam-ījād rakh
qatra-e-nāchīz samjhā tū jise
band hai us meñ samundar yaad rakh
baat apnī bhuul jā tū bhuul jā
yaad lekin hurmat-e-ajdād rakh
paas tesha ho na ho ai kohkan
dil meñ lekin jazba-e-farhād rakh
tez āñdhī ke parind uḌne se qabl
shahparoñ meñ saḳhtī-e-faulād rakh
dil hamesha sang-dil ke sāmne
be-niyāz-e-sheva-e-faryād rakh
lo chale to muzmahil 'nādim' na ho
dil sabā kī yaad se ābād rakh
dil sarabon se guzar kar shad rakh
dasht mein dariya ka manzar yaad rakh
sar asir-e-sar-bulandi hi rahe
kaj-kulahi se magar aazad rakh
is jahan mein hai zawali har uruj
yaad itna ai sitam-ijad rakh
qatra-e-nachiz samjha tu jise
band hai us mein samundar yaad rakh
baat apni bhul ja tu bhul ja
yaad lekin hurmat-e-ajdad rakh
pas tesha ho na ho ai kohkan
dil mein lekin jazba-e-farhad rakh
tez aandhi ke parind uDne se qabl
shahparon mein saKHti-e-faulad rakh
dil hamesha sang-dil ke samne
be-niyaz-e-shewa-e-faryaad rakh
lo chale to muzmahil 'nadim' na ho
dil saba ki yaad se aabaad rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.