dil sarapa bebasi hone ko hai
dil sarāpā bebasī hone ko hai
chār-sū ik ḳhāmushī hone ko hai
in diyoñ ko gul bhī honā hai abhī
har taraf go raushnī hone ko hai
maut se bhī baḌh ke kahte haiñ jise
terī merī zindagī hone ko hai
kaale kaale gesūoñ ke faiz se
shaam dil kī surma.ī hone ko hai
sabz-rut ke āḳhirī hafte meñ 'nāz'
pāñch-sāla dostī hone ko hai
dil sarapa bebasi hone ko hai
chaar-su ek KHamushi hone ko hai
in diyon ko gul bhi hona hai abhi
har taraf go raushni hone ko hai
maut se bhi baDh ke kahte hain jise
teri meri zindagi hone ko hai
kale kale gesuon ke faiz se
sham dil ki surmai hone ko hai
sabz-rut ke aaKHiri hafte mein 'naz'
panch-sala dosti hone ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.