dil sard ho to wa lab-e-guftar kya karen
dil sard ho to vā lab-e-guftār kyā kareñ
mansūr kyā baneñ havas-e-dār kyā kareñ
ab kyā sunā.eñ yūsuf o zindāñ kī dāstāñ
phir garm jins-e-dard kā bāzār kyā kareñ
vo sāġhar-e-nashāt ho yā jām-e-zahr-e-ġham
saaqī ne jab diyā ho to inkār kyā kareñ
dekhe na apne saath jo koī to kyā dikhā.eñ
samjhe na koī baat to isrār kyā kareñ
'jazbī' nigāh meñ hai barahna-sirī kī shaan
ham ehtirām-e-turra-e-dastār kyā kareñ
dil sard ho to wa lab-e-guftar kya karen
mansur kya banen hawas-e-dar kya karen
ab kya sunaen yusuf o zindan ki dastan
phir garm jins-e-dard ka bazar kya karen
wo saghar-e-nashat ho ya jam-e-zahr-e-gham
saqi ne jab diya ho to inkar kya karen
dekhe na apne sath jo koi to kya dikhaen
samjhe na koi baat to israr kya karen
'jazbi' nigah mein hai barahna-siri ki shan
hum ehtiram-e-turra-e-dastar kya karen
- Book : Kulliyat-e-Jazbi (Pg. 152)
- Author : Moin Ahsan Jazbi
- Publication : Sahitya Academy, New Delhi (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.