dil se ab yun KHalish-e-marg nikali jae
dil se ab yuuñ ḳhalish-e-marg nikālī jaa.e
zindagī maut kī āġhosh meñ paalī jaa.e
Derā Daalā hai añdheroñ ne chaman meñ har-sū
kyoñ na ab aag nasheman meñ lagā lī jaa.e
baat dīvāne kī ik roz jahāñ samjhegā
hai abhī vaqt hañsī ḳhuub uḌā lī jaa.e
ham ne har daur meñ tablīġh-e-mohabbat kī hai
shauq se koī sī tārīḳh uThā lī jaa.e
ek aa.egā nazar batin-o-zāhir 'jarrār'
merī sīrat mirī sūrat se milā lī jaa.e
dil se ab yun KHalish-e-marg nikali jae
zindagi maut ki aaghosh mein pali jae
Dera Dala hai andheron ne chaman mein har-su
kyon na ab aag nasheman mein laga li jae
baat diwane ki ek roz jahan samjhega
hai abhi waqt hansi KHub uDa li jae
hum ne har daur mein tabligh-e-mohabbat ki hai
shauq se koi si tariKH uTha li jae
ek aaega nazar batin-o-zahir 'jarrar'
meri sirat meri surat se mila li jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.