dil se dil aaj tak mila hi nahin
dil se dil aaj tak milā hī nahīñ
aadmī is pe sochtā hī nahīñ
chehra chehra bahāl lagtā hai
shahr meñ jaise kuchh huā hī nahīñ
jo ġharīboñ pe ho rahe haiñ sitam
aaj tak us kā tazkira hī nahīñ
roġhan-e-talḳh se jo paidā hai
us maraz kī koī davā hī nahīñ
paiham hamloñ se barq-e-tābāñ ke
āshiyāñ koī bhī bachā hī nahīñ
qatl kar ke chalā gayā qātil
dar se apne koī hilā hī nahīñ
roz ke hādsoñ se ai 'ibrat'
zindagī meñ koī maza hī nahīñ
dil se dil aaj tak mila hi nahin
aadmi is pe sochta hi nahin
chehra chehra bahaal lagta hai
shahr mein jaise kuchh hua hi nahin
jo gharibon pe ho rahe hain sitam
aaj tak us ka tazkira hi nahin
roghan-e-talKH se jo paida hai
us maraz ki koi dawa hi nahin
paiham hamlon se barq-e-taban ke
aashiyan koi bhi bacha hi nahin
qatl kar ke chala gaya qatil
dar se apne koi hila hi nahin
roz ke hadson se ai 'ibrat'
zindagi mein koi maza hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.