dil se dil ka rishta hoga
dil se dil kā rishta hogā
puurā jab ye sapnā hogā
har-sū nikhrā nikhrā hogā
bādal jab bhī barsā hogā
sāvan kī is rim-jhim meñ vo
sar se pā tak bhīgā hogā
aur to yaad nahīñ par ham ne
ishq meñ dhokā khāyā hogā
mujh ko chhoḌ ke jaane vaale
itnā to ye sochā hotā
tere ba.ad mirā kyā hogā
ba.ad meñ tū bhī royā hogā
ik dil hai bas merā apnā
par jaane kal kis kā hogā
ghar auroñ ke jalāne vaale
terā ghar bhī ujḌā hogā
saarī raat taḌap ke 'indar'
rote rote soyā hogā
dil se dil ka rishta hoga
pura jab ye sapna hoga
har-su nikhra nikhra hoga
baadal jab bhi barsa hoga
sawan ki is rim-jhim mein wo
sar se pa tak bhiga hoga
aur to yaad nahin par hum ne
ishq mein dhoka khaya hoga
mujh ko chhoD ke jaane wale
itna to ye socha hota
tere baad mera kya hoga
baad mein tu bhi roya hoga
ek dil hai bas mera apna
par jaane kal kis ka hoga
ghar auron ke jalane wale
tera ghar bhi ujDa hoga
sari raat taDap ke 'indar'
rote rote soya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.