dil se dil lagate hain dil-lagi nahin karte
dil se dil lagāte haiñ dil-lagī nahīñ karte
aise vaise logoñ se dostī nahīñ karte
tohmat aur rusvā.ī ishq meñ zarūrī haiñ
ḳhauf ho jinheñ in kā āshiqī nahīñ karte
dostoñ pe miTne kī baat ham se mat pūchho
ham to dushmanoñ se bhī dushmanī nahīñ karte
zindagī se ghabrā kar maut māñgne vaalo
jin meñ zarf hotā hai ḳhud-kushī nahīñ karte
narm garm sāñsoñ meñ jin kā lams shāmil hai
vo 'amīr' aaj ham se baat bhī nahīñ karte
dil se dil lagate hain dil-lagi nahin karte
aise waise logon se dosti nahin karte
tohmat aur ruswai ishq mein zaruri hain
KHauf ho jinhen in ka aashiqi nahin karte
doston pe miTne ki baat hum se mat puchho
hum to dushmanon se bhi dushmani nahin karte
zindagi se ghabra kar maut mangne walo
jin mein zarf hota hai KHud-kushi nahin karte
narm garm sanson mein jin ka lams shamil hai
wo 'amir' aaj hum se baat bhi nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.