dil se hai bahut gurez-pa tu
dil se hai bahut gurez-pā tū
tū kaun hai aur hai bhī kyā tū
kyuuñ mujh meñ gañvā rahā hai ḳhud ko
mujh aise yahāñ hazār-hā tū
hai terī judā.ī aur maiñ huuñ
milte hī kahīñ bichhaḌ gayā tū
pūchhe jo tujhe koī zarā bhī
jab maiñ na rahūñ to dekhnā tū
ik saañs hī bas liyā hai maiñ ne
tū saañs na thā so kyā huā tū
hai kaun jo terā dhyān rakhe
bāhar mire bas kahīñ na jā to
dil se hai bahut gurez-pa tu
tu kaun hai aur hai bhi kya tu
kyun mujh mein ganwa raha hai KHud ko
mujh aise yahan hazar-ha tu
hai teri judai aur main hun
milte hi kahin bichhaD gaya tu
puchhe jo tujhe koi zara bhi
jab main na rahun to dekhna tu
ek sans hi bas liya hai main ne
tu sans na tha so kya hua tu
hai kaun jo tera dhyan rakhe
bahar mere bas kahin na ja to
- Book : Gumaan (Poetry) (Pg. 97)
- Author : Jaun Elia
- Publication : Takhleeqar Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.