dil se hasin yaad purani chali gai
dil se hasīn yaad purānī chalī ga.ī
chhallā nahīñ gayā ki nishānī chalī ga.ī
ham to nibhāte sirf ye kirdār rah ga.e
ab hai pata chalā ki kahānī chalī ga.ī
ḳhāmosh lab hue to ka.ī baat dab ga.iiñ
chehre kā nuur ḳhuuñ kī ravānī chalī ga.ī
ye zindagī kā khel hai shatranj kī tarah
raaja bachāte ham rahe raanī chalī ga.ī
qismat bhī koī chiiz hai ye mānte rahe
ummīd ab to vo bhī suhānī chalī ga.ī
mujh se kabhī suḳhan kī kitābat nahīñ huī
mā'nī samajh ga.e to girānī chalī ga.ī
hālāt ye hue haiñ mobile ke daur meñ
bachchoñ kī yād-dāsht zabānī chalī ga.ī
chhoTī sī 'umr se hī 'abhay' dar-ba-dar rahe
shāyad tabhī to soch siyānī chalī ga.ī
dil se hasin yaad purani chali gai
chhalla nahin gaya ki nishani chali gai
hum to nibhate sirf ye kirdar rah gae
ab hai pata chala ki kahani chali gai
KHamosh lab hue to kai baat dab gain
chehre ka nur KHun ki rawani chali gai
ye zindagi ka khel hai shatranj ki tarah
raja bachate hum rahe rani chali gai
qismat bhi koi chiz hai ye mante rahe
ummid ab to wo bhi suhani chali gai
mujh se kabhi suKHan ki kitabat nahin hui
ma'ni samajh gae to girani chali gai
haalat ye hue hain mobile ke daur mein
bachchon ki yaad-dasht zabani chali gai
chhoTi si 'umr se hi 'abhay' dar-ba-dar rahe
shayad tabhi to soch siyani chali gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.