dil se iKHlas ghaTa lutf ghaTa pyar ghaTa
dil se iḳhlās ghaTā lutf ghaTā pyaar ghaTā
par na vo naaz tirā ai but-e-ayyār ghaTā
bevafā.ī se tirī apnī vafādārī se
dil ka.ī baar baḌhā aur ka.ī baar ghaTā
ḳhud-faroshī ko jo niklā vo azīz-e-ālam
narḳh-e-husn-e-mah-e-kan.āñ sar-e-bāzār ghaTā
ga.iiñ bhī aa.iiñ bhī barsīñ bhī ghaTā.eñ barsoñ
bārish-e-dīda-e-tar kā na kabhī taar ghaTā
'mushtarī' hijr kī shab umḌā hai tūfān-e-alam
taar bijlī nazar aate haiñ shab-e-tār ghaTā
dil se iKHlas ghaTa lutf ghaTa pyar ghaTa
par na wo naz tera ai but-e-ayyar ghaTa
bewafai se teri apni wafadari se
dil kai bar baDha aur kai bar ghaTa
KHud-faroshi ko jo nikla wo aziz-e-alam
narKH-e-husn-e-mah-e-kanan sar-e-bazar ghaTa
gain bhi aain bhi barsin bhi ghaTaen barson
barish-e-dida-e-tar ka na kabhi tar ghaTa
'mushtari' hijr ki shab umDa hai tufan-e-alam
tar bijli nazar aate hain shab-e-tar ghaTa
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 74)
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.