dil se jab aah nikal jaegi
dil se jab aah nikal jā.egī
jaañ bhī ham-rāh nikal jā.egī
dil meñ kuchh bhī to na rah jā.egā
jab tirī chaah nikal jā.egī
ham ne samjhā thā ki kuchh barsoñ meñ
fasl-e-jāñ-kāh nikal jā.egī
phir sabhī joḌ ke sar baiThe haiñ
phir koī raah nikal jā.egī
tum se milne kī bhī koī sūrat
inshā-allāh nikal jā.egī
toḌ kar saarī fasīleñ 'rāġhib'
fikr-e-āgāh nikal jā.egī
dil se jab aah nikal jaegi
jaan bhi ham-rah nikal jaegi
dil mein kuchh bhi to na rah jaega
jab teri chah nikal jaegi
hum ne samjha tha ki kuchh barson mein
fasl-e-jaan-kah nikal jaegi
phir sabhi joD ke sar baiThe hain
phir koi rah nikal jaegi
tum se milne ki bhi koi surat
insha-allah nikal jaegi
toD kar sari fasilen 'raghib'
fikr-e-agah nikal jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.