dil se jis ko chahta hun kyun use ruswa karun
dil se jis ko chahta hun kyun use ruswa karun
Muniruddin Sahar Saeedi
MORE BYMuniruddin Sahar Saeedi
Interesting Fact
Dedicated to Wali Aurangabadi
dil se jis ko chāhtā huuñ kyuuñ use rusvā karūñ
ye mirā sheva nahīñ maiñ ishq kā charchā karūñ
ehtiyātan is liye tanhā rahā kartā huuñ maiñ
yaad vo aa jaa.e to jī khol kar royā karūñ
ḳhat mirā paḌh kar sitamgar kyuuñ na hogā ashk-bār
aah kā le kar qalam jab dard ko inshā karūñ
tū chale hamrāh to rasta dikhā.ī de mujhe
kyuuñ abas parchhā.iyoñ ke ġhuul kā pīchhā karūñ
dil meñ ik ma.asūm sī ye aarzū bhī hai 'sahar'
vo muḳhātab mujh se ho aur maiñ use dekhā karūñ
dil se jis ko chahta hun kyun use ruswa karun
ye mera shewa nahin main ishq ka charcha karun
ehtiyatan is liye tanha raha karta hun main
yaad wo aa jae to ji khol kar roya karun
KHat mera paDh kar sitamgar kyun na hoga ashk-bar
aah ka le kar qalam jab dard ko insha karun
tu chale hamrah to rasta dikhai de mujhe
kyun abas parchhaiyon ke ghul ka pichha karun
dil mein ek masum si ye aarzu bhi hai 'sahar'
wo muKHatab mujh se ho aur main use dekha karun
- Book : Aalamgeer Adab (Pg. B-163 E-189)
- Author : Aarif Khursheed
- Publication : Nawa-e-Deccan Publication Aurangabad (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.