dil se kaisi bahaar guzri hai
dil se kaisī bahār guzrī hai
har nafas nāgavār guzrī hai
aaj dil kā shajar laraztā hai
kyā huā be-qarār guzrī hai
bah ga.e surḳh ashk āñkhoñ se
yaad vo pur-ḳhumār guzrī hai
aah bharte rahe sahar tak ham
yuuñ shab-e-intizār guzrī hai
jab tasavvur na ho tirā mujh ko
vo ghaḌī sogvār guzrī hai
zaḳhm dil ke shumār kartī huuñ
hai ḳhalish be-shumār guzrī hai
dil se kaisi bahaar guzri hai
har nafas nagawar guzri hai
aaj dil ka shajar larazta hai
kya hua be-qarar guzri hai
bah gae surKH ashk aankhon se
yaad wo pur-KHumar guzri hai
aah bharte rahe sahar tak hum
yun shab-e-intizar guzri hai
jab tasawwur na ho tera mujh ko
wo ghaDi sogwar guzri hai
zaKHm dil ke shumar karti hun
hai KHalish be-shumar guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.