dil se KHayal-e-marg miTate tere liye
dil se ḳhayāl-e-marg miTāte tire liye
ḳhud ko kisī tarah to bachāte tire liye
bādal se lete paanī dhanak se tamām rang
bārish meñ halkī dhuup banāte tire liye
chalte kisī bhī samt pahuñchte tire qarīñ
raste se dil kā rishta nibhāte tire liye
likhte ghane banoñ ke shajar par bas ek naam
duniyā meñ sirf peḌ lagāte tire liye
'rizvī' siyāh-mast na hote to mere dost
dil jaisā ik charāġh jalāte tire liye
dil se KHayal-e-marg miTate tere liye
KHud ko kisi tarah to bachate tere liye
baadal se lete pani dhanak se tamam rang
barish mein halki dhup banate tere liye
chalte kisi bhi samt pahunchte tere qarin
raste se dil ka rishta nibhate tere liye
likhte ghane banon ke shajar par bas ek nam
duniya mein sirf peD lagate tere liye
'rizwi' siyah-mast na hote to mere dost
dil jaisa ek charagh jalate tere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.