dil se koi sada nahin aati
dil se koī sadā nahīñ aatī
ab laboñ par duā nahīñ aatī
zaḳhm dil ke jo mundamil kar de
tum ko aisī davā nahīñ aatī
dil taḌaptā hai un se milne ko
is ko taskīñ zarā nahīñ aatī
shahr kā zikr kyā pahāḌoñ par
ghar meñ taaza havā nahīñ aatī
ibtidā hī kā bol-bālā hai
ishq meñ intihā nahīñ aatī
bevafā.ī na aa sakī ham ko
aur un ko vafā nahīñ aatī
'raaj kartī hai ghar meñ tanhā.ī
rut koī ḳhushnumā nahīñ aatī
dil se koi sada nahin aati
ab labon par dua nahin aati
zaKHm dil ke jo mundamil kar de
tum ko aisi dawa nahin aati
dil taDapta hai un se milne ko
is ko taskin zara nahin aati
shahr ka zikr kya pahaDon par
ghar mein taza hawa nahin aati
ibtida hi ka bol-baala hai
ishq mein intiha nahin aati
bewafai na aa saki hum ko
aur un ko wafa nahin aati
'raj karti hai ghar mein tanhai
rut koi KHushnuma nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.