dil se mere tanhai ki shiddat nahin jati
dil se mere tanhai ki shiddat nahin jati
Khaleel Farhat Karanjavi
MORE BYKhaleel Farhat Karanjavi
dil se mire tanhā.ī kī shiddat nahīñ jaatī
ab tū bhī chalā aa.e to vahshat nahīñ jaatī
is daur kī ta.alīm kā me.aar ajab hai
ta.alīm to aatī hai jihālat nahīñ jaatī
kyā soch ke ummīd-e-vafā bāñdhī thī tum se
ik umr huī dil kī nadāmat nahīñ jaatī
muflis bhī to ḳhuddār huā karte haiñ logo
ġhurbat meñ bhī insāñ kī sharāfat nahīñ jaatī
le jaatī haiñ ab tak bhī mirī niiñd churā kar
ab tak bhī un āñkhoñ kī sharārat nahīñ jaatī
de detā hai allāh mujhe hasb-e-zarūrat
ab le ke kisī dar pe zarūrat nahīñ jaatī
sau baar tirī jaan pe ban aa.ī hai 'farhat'
phir bhī tirī haq-goī kī aadat nahīñ jaatī
dil se mere tanhai ki shiddat nahin jati
ab tu bhi chala aae to wahshat nahin jati
is daur ki talim ka mear ajab hai
talim to aati hai jihaalat nahin jati
kya soch ke ummid-e-wafa bandhi thi tum se
ek umr hui dil ki nadamat nahin jati
muflis bhi to KHuddar hua karte hain logo
ghurbat mein bhi insan ki sharafat nahin jati
le jati hain ab tak bhi meri nind chura kar
ab tak bhi un aankhon ki shararat nahin jati
de deta hai allah mujhe hasb-e-zarurat
ab le ke kisi dar pe zarurat nahin jati
sau bar teri jaan pe ban aai hai 'farhat'
phir bhi teri haq-goi ki aadat nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.