Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil se mere tanhai ki shiddat nahin jati

Khaleel Farhat Karanjavi

dil se mere tanhai ki shiddat nahin jati

Khaleel Farhat Karanjavi

MORE BYKhaleel Farhat Karanjavi

    dil se mire tanhā.ī shiddat nahīñ jaatī

    ab bhī chalā aa.e to vahshat nahīñ jaatī

    is daur ta.alīm me.aar ajab hai

    ta.alīm to aatī hai jahālat nahīñ jaatī

    kyā soch ke ummīd-e-vafā bāñdhī thī tum se

    ik umr huī dil nadāmat nahīñ jaatī

    muflis bhī to ḳhuddār huā karte haiñ logo

    ġhurbat meñ bhī insāñ sharāfat nahīñ jaatī

    le jaatī haiñ ab tak bhī mirī niiñd churā kar

    ab tak bhī in āñkhoñ sharārat nahīñ jaatī

    de detā hai allāh mujhe hasb-e-zarūrat

    ab le ke kisī dar pe zarūrat nahīñ jaatī

    sau baar tirī jaan pe ban aa.ī hai 'farhat'

    phir bhī tirī haq-goī aadat nahīñ jaatī

    dil se mere tanhai ki shiddat nahin jati

    ab tu bhi chala aae to wahshat nahin jati

    is daur ki talim ka mear ajab hai

    talim to aati hai jahaalat nahin jati

    kya soch ke ummid-e-wafa bandhi thi tum se

    ek umr hui dil ki nadamat nahin jati

    muflis bhi to KHuddar hua karte hain logo

    ghurbat mein bhi insan ki sharafat nahin jati

    le jati hain ab tak bhi meri nind chura kar

    ab tak bhi in aankhon ki shararat nahin jati

    de deta hai allah mujhe hasb-e-zarurat

    ab le ke kisi dar pe zarurat nahin jati

    sau bar teri jaan pe ban aai hai 'farhat'

    phir bhi teri haq-goi ki aadat nahin jati

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now