dil se meri yaadon ko riha kyon nahin karte
dil se meri yaadon ko riha kyon nahin karte
Vala Jamal Al Aseeli
MORE BYVala Jamal Al Aseeli
dil se mirī yādoñ ko rihā kyoñ nahīñ karte
tum phuul se ḳhushbū ko judā kyoñ nahīñ karte
rishtoñ ke bikharne kā sabab ham se na pūchho
tum ḳhud hī batāo ki vafā kyoñ nahīñ karte
barsoñ se koī ḳhat nahīñ aaya mire ghar par
ab naama yahāñ log likhā kyoñ nahīñ karte
jo duur huā ham se vahī pūchh rahā hai
ham fāsla miTne kī duā kyoñ nahīñ karte
kyoñ maazī kī har yaad sajā rakkhī hai ghar meñ
hai dard purānā to davā kyoñ nahīñ karte
mahfil meñ to tum naam mirā le nahīñ sakte
tanhā.ī meñ bhī zikr mirā kyoñ nahīñ karte
barsoñ se 'vilā' ek kināre pe khaḌī hai
tum niil ke sāhil pe milā kyoñ nahīñ karte
dil se meri yaadon ko riha kyon nahin karte
tum phul se KHushbu ko juda kyon nahin karte
rishton ke bikharne ka sabab hum se na puchho
tum KHud hi batao ki wafa kyon nahin karte
barson se koi KHat nahin aaya mere ghar par
ab nama yahan log likha kyon nahin karte
jo dur hua hum se wahi puchh raha hai
hum fasla miTne ki dua kyon nahin karte
kyon mazi ki har yaad saja rakkhi hai ghar mein
hai dard purana to dawa kyon nahin karte
mahfil mein to tum nam mera le nahin sakte
tanhai mein bhi zikr mera kyon nahin karte
barson se 'wila' ek kinare pe khaDi hai
tum nil ke sahil pe mila kyon nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.