Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil se nikal na paegi mauj-e-hawas ki bas

Yahya Khan Yusuf Zai

dil se nikal na paegi mauj-e-hawas ki bas

Yahya Khan Yusuf Zai

MORE BYYahya Khan Yusuf Zai

    dil se nikal na pā.egī mauj-e-havas ki bas

    is tarah khīñchtī hai ye tār-e-nafas ki bas

    phir yuuñ huā ki raushnī nāzil huī vahāñ

    phir dekhte khul gayā chāk-e-qafas ki bas

    maiñ barf chaTān huuñ garm-rau charāġh

    mat pūchh mujh pe kyā hai tirī dastaras ki bas

    dam-sāz to bahut haiñ koī dam-shanās ho

    koī tapish hai tah-e-mauj-e-nafas ki bas

    sahrā mire mizāj hissa hai phir bhī aaj

    ik abr-zād ne kiyā is tarah mas ki bas

    dil se nikal na paegi mauj-e-hawas ki bas

    is tarah khinchti hai ye tar-e-nafas ki bas

    phir yun hua ki raushni nazil hui wahan

    phir dekhte hi khul gaya chaak-e-qafas ki bas

    main barf ki chaTan hun tu garm-rau charagh

    mat puchh mujh pe kya hai teri dastaras ki bas

    dam-saz to bahut hain koi dam-shanas ho

    koi tapish si hai tah-e-mauj-e-nafas ki bas

    sahra mere mizaj ka hissa hai phir bhi aaj

    ek abr-zad ne kiya is tarah mas ki bas

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now