dil se taat teri nahin hoti
dil se taa.at tirī nahīñ hotī
ham se ab bandagī nahīñ hotī
aisī kuchh be-dilī sī 'ġhālib' hai
ki tirī yaad bhī nahīñ hotī
dil na jab tak ho ek sho.ala-e-ishq
zindagī zindagī nahīñ hotī
haif vo jas se shiddat-e-ġham meñ
ḳhvāhish-e-marg bhī nahīñ hotī
raas aatī nahīñ koī tadbīr
yās-e-jāved bhī nahīñ hotī
zabt-e-ġham bhī muhāl hai ham se
aur fariyād bhī nahīñ hotī
dil-parastī ḳhudā-parastī hai
ḳhud-parastī ḳhudī nahīñ hotī
al-hazar tishnagi-e-ishq 'jigar'
haa.e taskīn hī nahīñ hotī
dil se taat teri nahin hoti
hum se ab bandagi nahin hoti
aisi kuchh be-dili si 'ghaalib' hai
ki teri yaad bhi nahin hoti
dil na jab tak ho ek shoala-e-ishq
zindagi zindagi nahin hoti
haif wo jas se shiddat-e-gham mein
KHwahish-e-marg bhi nahin hoti
ras aati nahin koi tadbir
yas-e-jawed bhi nahin hoti
zabt-e-gham bhi muhaal hai hum se
aur fariyaad bhi nahin hoti
dil-parasti KHuda-parasti hai
KHud-parasti KHudi nahin hoti
al-hazar tishnagi-e-ishq 'jigar'
hae taskin hi nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.