dil se teri yaad ka ek pal juda hota nahin
dil se terī yaad kā ik pal judā hotā nahīñ
varna in tāroñ bharī rātoñ meñ kyā hotā nahīñ
maiñ hī maiñ hotī huuñ apne ālam-e-imkān meñ
tū hī tū hotā hai koī dūsrā hotā nahīñ
sabr hī karnā hai us kā shahr hai aur shahr meñ
vāqi.a hotā nahīñ yā hādisa hotā nahīñ
ġhair to phir ġhair hai kyā vaqt ko ilzām duuñ
jab mirā hote hue bhī dil mirā hotā nahīñ
zabt kis kā sabr kis kā kis kā dil kis kī vafā
ishq meñ koī kisī kā āshnā hotā nahīñ
jis kī ḳhātir dushmanī 'tasnīm' duniyā se huī
dekhiye vo bhī mirā hotā hai yā hotā nahīñ
dil se teri yaad ka ek pal juda hota nahin
warna in taron bhari raaton mein kya hota nahin
main hi main hoti hun apne aalam-e-imkan mein
tu hi tu hota hai koi dusra hota nahin
sabr hi karna hai us ka shahr hai aur shahr mein
waqia hota nahin ya hadisa hota nahin
ghair to phir ghair hai kya waqt ko ilzam dun
jab mera hote hue bhi dil mera hota nahin
zabt kis ka sabr kis ka kis ka dil kis ki wafa
ishq mein koi kisi ka aashna hota nahin
jis ki KHatir dushmani 'tasnim' duniya se hui
dekhiye wo bhi mera hota hai ya hota nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.