dil se tiron ka aur kamanon ka
dil se tīroñ kā aur kamānoñ kā
ḳhauf jaatā nahīñ machānoñ kā
ek hī ghar ke fard haiñ ham tum
farq rakhte haiñ par zabānoñ kā
rut badalne kī kyā bashārat de
ek sā rañg gulistānoñ kā
kaun apnā hai ik ḳhudā vo bhī
rahne vaalā hai āsmānoñ kā
baat 'mājid' kī pūchhte kyā ho
shaḳhs hai ik ga.e zamānoñ kā
dil se tiron ka aur kamanon ka
KHauf jata nahin machanon ka
ek hi ghar ke fard hain hum tum
farq rakhte hain par zabanon ka
rut badalne ki kya bashaarat de
ek sa rang gulistanon ka
kaun apna hai ek KHuda wo bhi
rahne wala hai aasmanon ka
baat 'majid' ki puchhte kya ho
shaKHs hai ek gae zamanon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.