dil se tumhaari yaad guzara karunga main
dil se tumhārī yaad guzārā karūñgā maiñ
tanhā.ī meñ bhī tum ko pukārā karūñgā maiñ
jo ashk hijr-e-yār ne baḳhshā hai aañkh ko
kuchh din meñ us ko apnā sitāra karūñgā maiñ
tab dekhnā falak kā badaltā huā mizāj
jab chāñd ko zamīñ se ishārā karūñgā maiñ
kyoñ saañs band hoñge mire mere hukm se
kyoñ bahr-e-zindagī se kināra karūñgā maiñ
maiñ rāh-e-fikr-o-fan se diyā le ke 'ilm kā
guzrā karūñgā ḳhud ko guzārā karūñgā maiñ
ab mujh pe asl haar kā matlab khulā hai dost
is khel meñ to jaan ke haarā karūñgā maiñ
ḳhalq-e-ḳhudā sañvār sake taaki ḳhadd-o-ḳhāl
'zahrāb' aa.ine ko sañvārā karūñgā maiñ
dil se tumhaari yaad guzara karunga main
tanhai mein bhi tum ko pukara karunga main
jo ashk hijr-e-yar ne baKHsha hai aankh ko
kuchh din mein us ko apna sitara karunga main
tab dekhna falak ka badalta hua mizaj
jab chand ko zamin se ishaara karunga main
kyon sans band honge mere mere hukm se
kyon bahr-e-zindagi se kinara karunga main
main rah-e-fikr-o-fan se diya le ke 'ilm ka
guzra karunga KHud ko guzara karunga main
ab mujh pe asl haar ka matlab khula hai dost
is khel mein to jaan ke haara karunga main
KHalq-e-KHuda sanwar sake taki KHadd-o-KHal
'zahrab' aaine ko sanwara karunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.