dil se wahshi ko shadman kiya
dil se vahshī ko shādmān kiyā
dīda-e-tar ko dīd-bān kiyā
ham-qabīla hamārā thā suqrāt
zahr us ne bhī nosh-e-jān kiyā
ishq apnā usī ke naam rahā
husn ko sāhab-e-nishān kiyā
haañ sar-e-bazm kuchh na bole ham
bazm us kī thī us kā maan kiyā
us kī itnī sī be-ruḳhī pe 'ḳhalīl'
ham ne kyā kyā na kuchh gumān kiyā
dil se wahshi ko shadman kiya
dida-e-tar ko did-ban kiya
ham-qabila hamara tha suqraat
zahr us ne bhi nosh-e-jaan kiya
ishq apna usi ke nam raha
husn ko sahab-e-nishan kiya
han sar-e-bazm kuchh na bole hum
bazm us ki thi us ka man kiya
us ki itni si be-ruKHi pe 'KHalil'
hum ne kya kya na kuchh guman kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.