dil shagufta hai ke phir koi KHata hone ko hai
dil shagufta hai ke phir koī ḳhatā hone ko hai
jaise agle hī qadam par hādisa hone ko hai
jaane kyā kyā ho gayā hai ho rahā hai jaane kyā
aane vaale vaqt meñ ab jaane kyā hone ko hai
vo gayā to lauT kar sāñseñ na aa.iiñ jism meñ
yuuñ lagā ki zindagī se fāsla hone ko hai
Daal dī kashtī bhañvar meñ bas isī ummīd par
ek tinke kā mujhe bhī aasrā hone ko hai
jhuk gayā hai āsmāñ uḌne lagī hai ye zamīñ
lag rahā sāvan meñ ab ke kuchh nayā hone ko hai
jis ne mere paañv ko zaḳhmī kiyā thā ek din
rāste kā ab vo patthar devtā hone ko hai
phir suhānī vādiyoñ se ishq ne dī hai sadā
lag rahā hai ratjagoñ kā silsila hone ko hai
zindagī kī uljhaneñ kāġhaz pe likkhī thiiñ kabhī
aa rahī hai ye ḳhabar vo falsafa hone ko hai
mil gayā vo ik guhar jo apne man kī siip meñ
aisā lagtā hai ki ḳhud se rābta hone ko hai
chhū liyā ākāsh ne jhuk kar zamīñ ke jism ko
muḳhtasar sā ek pal ahd-e-vafā hone ko hai
ham to aisī fikr se ab ho chuke haiñ be-niyāz
hone do jo 'sāhiba' achchhā burā hone ko hai
dil shagufta hai ke phir koi KHata hone ko hai
jaise agle hi qadam par hadisa hone ko hai
jaane kya kya ho gaya hai ho raha hai jaane kya
aane wale waqt mein ab jaane kya hone ko hai
wo gaya to lauT kar sansen na aain jism mein
yun laga ki zindagi se fasla hone ko hai
Dal di kashti bhanwar mein bas isi ummid par
ek tinke ka mujhe bhi aasra hone ko hai
jhuk gaya hai aasman uDne lagi hai ye zamin
lag raha sawan mein ab ke kuchh naya hone ko hai
jis ne mere panw ko zaKHmi kiya tha ek din
raste ka ab wo patthar dewta hone ko hai
phir suhani wadiyon se ishq ne di hai sada
lag raha hai ratjagon ka silsila hone ko hai
zindagi ki uljhanen kaghaz pe likkhi thin kabhi
aa rahi hai ye KHabar wo falsafa hone ko hai
mil gaya wo ek guhar jo apne man ki sip mein
aisa lagta hai ki KHud se rabta hone ko hai
chhu liya aakash ne jhuk kar zamin ke jism ko
muKHtasar sa ek pal ahd-e-wafa hone ko hai
hum to aisi fikr se ab ho chuke hain be-niyaz
hone do jo 'sahiba' achchha bura hone ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.