dil sogwar dida-e-tar kaun de gaya
dil sogvār dīda-e-tar kaun de gayā
be-kaif zindagī kā safar kaun de gayā
shīshagarī meñ naam tumhārā bahut sunā
patthar tarāshne kā hunar kaun de gayā
ḳhvāboñ pe e'timād kiye jā rahā huuñ maiñ
kambaḳht ye fareb-e-nazar kaun de gayā
dil jāgne kī zid pe rahā raat bhar magar
āñkhoñ ko niiñd vaqt-e-sahar kaun de gayā
din-rāt jagmagāte haiñ palkoñ pe āj-kal
kaise batā.ūñ shams-o-qamar kaun de gayā
un ke sivā dikhā.ī nahīñ detā hai koī
merī nazar ko aisī nazar kaun de gayā
hoñToñ pe ab hañsī nahīñ aatī hai muddatoñ
'muḳhtār' āñsuoñ kā asar kaun de gayā
dil sogwar dida-e-tar kaun de gaya
be-kaif zindagi ka safar kaun de gaya
shishagari mein nam tumhaara bahut suna
patthar tarashne ka hunar kaun de gaya
KHwabon pe e'timad kiye ja raha hun main
kambaKHt ye fareb-e-nazar kaun de gaya
dil jagne ki zid pe raha raat bhar magar
aankhon ko nind waqt-e-sahar kaun de gaya
din-raat jagmagate hain palkon pe aaj-kal
kaise bataun shams-o-qamar kaun de gaya
un ke siwa dikhai nahin deta hai koi
meri nazar ko aisi nazar kaun de gaya
honTon pe ab hansi nahin aati hai muddaton
'muKHtar' aansuon ka asar kaun de gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.