dil soz-e-gham se jalta hai lab par fughan nahin
dil soz-e-ġham se jaltā hai lab par fuġhāñ nahīñ
ye aag bhī na.ī hai ki jis meñ dhuāñ nahīñ
dil meñ vo zabt-e-ġham hai ki lab par fuġhāñ nahīñ
muñh meñ hai vo zabān ki goyā zabāñ nahīñ
allah-re be-ḳhudī ki mujhe ḳhud shab-e-firāq
khultā nahīñ ki dard kahāñ hai kahāñ nahīñ
par bāñdhne se fā.eda fasl-e-bahār meñ
sayyād ye qafas hai mirā āshiyāñ nahīñ
urdu zabāñ kā lutf gayā saath 'dāġh' ke
'mahmūd' ab vo rang vo tarz-e-bayāñ nahīñ
dil soz-e-gham se jalta hai lab par fughan nahin
ye aag bhi nai hai ki jis mein dhuan nahin
dil mein wo zabt-e-gham hai ki lab par fughan nahin
munh mein hai wo zaban ki goya zaban nahin
allah-re be-KHudi ki mujhe KHud shab-e-firaq
khulta nahin ki dard kahan hai kahan nahin
par bandhne se faeda fasl-e-bahaar mein
sayyaad ye qafas hai mera aashiyan nahin
urdu zaban ka lutf gaya sath 'dagh' ke
'mahmud' ab wo rang wo tarz-e-bayan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.