dil surKH gulab sa mahkega din badlenge
dil surḳh gulāb sā mahkegā din badleñge
ye sahrā rang uḌā.egā din badleñge
vo rahne vaalā dūr-darāz sitāre kā
ik raushan ḳhat mujhe likkhegā din badleñge
vo chāñd se agle moḌ pe mujh se milne ko
ka.ī sadiyāñ paaT ke aa.egā din badleñge
kohre meñ lipTī kam-raushan is bastī meñ
koī hiir sunāne aa.egā din badleñge
phir jaag uThegā soyā mahal chup TūTegī
phir dil tyauhār manā.egā din badleñge
ye dhuāñ badan kā raqs karegā har lai par
koī haal mire sang khelegā din badleñge
din badleñge aur rāteñ sej sajā.eñgī
phir hijr visāl se lipTegā din badleñge
ye barf kā TukḌā dil merā qātil merā
tirī nīm-nigāh se pighlegā din badleñge
maiñ TuuT rahūñgī ek qadīm rivāyat sī
vo na.e zamāne lā.egā din badleñge
mire mo.ajiza-gar tirī dā.īñ aañkh ke nīlam meñ
ik sa.ad sitāra chamkegā din badleñge
merī oḌhniyāñ sab kesarī rang meñ rañgne ko
rañgrez mirā phir lauTegā din badleñge
jo bichhaḌ gayā thā vaqt kī kachchī saa.at meñ
suntī huuñ palaT kar aa.egā din badleñge
dil surKH gulab sa mahkega din badlenge
ye sahra rang uDaega din badlenge
wo rahne wala dur-daraaz sitare ka
ek raushan KHat mujhe likkhega din badlenge
wo chand se agle moD pe mujh se milne ko
kai sadiyan paT ke aaega din badlenge
kohre mein lipTi kam-raushan is basti mein
koi hir sunane aaega din badlenge
phir jag uThega soya mahal chup TuTegi
phir dil tyauhaar manaega din badlenge
ye dhuan badan ka raqs karega har lai par
koi haal mere sang khelega din badlenge
din badlenge aur raaten sej sajaengi
phir hijr visal se lipTega din badlenge
ye barf ka TukDa dil mera qatil mera
teri nim-nigah se pighlega din badlenge
main TuT rahungi ek qadim riwayat si
wo nae zamane laega din badlenge
mere moajiza-gar teri dain aankh ke nilam mein
ek sad sitara chamkega din badlenge
meri oDhniyan sab kesari rang mein rangne ko
rangrez mera phir lauTega din badlenge
jo bichhaD gaya tha waqt ki kachchi saat mein
sunti hun palaT kar aaega din badlenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.