dil taffun se bhar gaya hoga
dil ta.affun se bhar gayā hogā
maiñ mohabbat ko gaaḌ aa.ī thī
chand rishte vahīñ pe Duube the
mere gaañv meñ baaḌh aa.ī thī
aaj rassī ḳharīd laa.ī huuñ
dhuul pañkhe se jhaaḌ aa.ī thī
ye udāsī kahāñ se phuuT paḌī
maiñ to jaḌ se ukhāḌ aa.ī thī
tum mirī zindagī sañvāroge
jis ko maiñ ḳhud bigāḌ aa.ī thī
bas mujhe ek ghar basānā thā
puurī bastī ujaaḌ aa.ī thī
dil taffun se bhar gaya hoga
main mohabbat ko gaD aai thi
chand rishte wahin pe Dube the
mere ganw mein baDh aai thi
aaj rassi KHarid lai hun
dhul pankhe se jhaD aai thi
ye udasi kahan se phuT paDi
main to jaD se ukhaD aai thi
tum meri zindagi sanwaroge
jis ko main KHud bigaD aai thi
bas mujhe ek ghar basana tha
puri basti ujaD aai thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.