dil taDapta hai ab tak mera aankh mein bhi nami rah gai
dil taḌaptā hai ab tak mirā aañkh meñ bhī namī rah ga.ī
vo to kab ke ga.e chhoḌ kar yaad un kī basī rah ga.ī
rahmatoñ se bahut duur hai jis ko dekho vo maġhrūr hai
ab kahāñ inkisārī rahī aur kahāñ ājizī rah ga.ī
merī un kī haiñ rāheñ judā vo kahāñ aur maiñ ab kahāñ
un ko paane kī phir bhī magar aas dil ko lagī rah ga.ī
dil dhaḌaktā hai un ke liye aañkh rotī hai un ke liye
ab kahāñ apnī ye zindagī dosto apnī hī rah ga.ī
koī 'āsim' kisī kā nahīñ sab ke sab haiñ yahāñ matlabī
aaj zinda jahāñ meñ kahāñ ġhairat-e-ādmī rah ga.ī
dil taDapta hai ab tak mera aankh mein bhi nami rah gai
wo to kab ke gae chhoD kar yaad un ki basi rah gai
rahmaton se bahut dur hai jis ko dekho wo maghrur hai
ab kahan inkisari rahi aur kahan aajizi rah gai
meri un ki hain rahen juda wo kahan aur main ab kahan
un ko pane ki phir bhi magar aas dil ko lagi rah gai
dil dhaDakta hai un ke liye aankh roti hai un ke liye
ab kahan apni ye zindagi dosto apni hi rah gai
koi 'asim' kisi ka nahin sab ke sab hain yahan matlabi
aaj zinda jahan mein kahan ghairat-e-admi rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.