dil taDapta hai mera har din sahar hone ke baad
dil taḌaptā hai mirā har din sahar hone ke ba.ad
maut aa jaa.e na tere bin sahar hone ke ba.ad
shaam tak fursat na tujh ko saañs lene kī mile
aa ke taklīfeñ mirī tū gin sahar hone ke ba.ad
raat aa.ī aa.e maiḳhāne meñ kāfir ho ga.e
aur phir se ban ga.e momin sahar hone ke ba.ad
niiñd to kyā chiiz āñkheñ band bhī ham ne na kī
jab vo bole ā.eñge lekin sahar hone ke ba.ad
chain dil ko aañkh ko ThanDak ḳhirad ko tāzgī
ne.amateñ milnā hai ye mumkin sahar hone ke ba.ad
un ke dil meñ merī ulfat yuuñ samā.ī jis tarah
phuul meñ ḳhushbū huī sākin sahar hone ke ba.ad
raat bhar ashkoñ ko roke muskurāyā thā magar
ho gayā zāhir mirā bātin sahar hone ke ba.ad
ḳhauf aatā hai mujhe 'haidar' zamāne se bahut
aa ke ban jā tū mirā zāmin sahar hone ke ba.ad
dil taDapta hai mera har din sahar hone ke baad
maut aa jae na tere bin sahar hone ke baad
sham tak fursat na tujh ko sans lene ki mile
aa ke taklifen meri tu gin sahar hone ke baad
raat aai aae maiKHane mein kafir ho gae
aur phir se ban gae momin sahar hone ke baad
nind to kya chiz aankhen band bhi hum ne na ki
jab wo bole aaenge lekin sahar hone ke baad
chain dil ko aankh ko ThanDak KHirad ko tazgi
neamaten milna hai ye mumkin sahar hone ke baad
un ke dil mein meri ulfat yun samai jis tarah
phul mein KHushbu hui sakin sahar hone ke baad
raat bhar ashkon ko roke muskuraya tha magar
ho gaya zahir mera baatin sahar hone ke baad
KHauf aata hai mujhe 'haidar' zamane se bahut
aa ke ban ja tu mera zamin sahar hone ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.