dil tawangar ka ho ki muflis ka
dil tavañgar kā ho ki muflis kā
ishq par iḳhtiyār hai kis kā
rishte-nāte to naam ke haiñ bas
is zamāne meñ kaun hai kis kā
paañv us ke bhī to zamīñ par haiñ
āsmāñ par dimāġh hai jis kā
qabl-az-vaqt kartī hai mahsūs
tajraba tez hai chhaTī his kā
aib dekheñge log boleñge
band muñh kījiyegā kis kis kā
aane vaalā salām kartā hai
hai ye 'sābir' usuul majlis kā
dil tawangar ka ho ki muflis ka
ishq par iKHtiyar hai kis ka
rishte-nate to nam ke hain bas
is zamane mein kaun hai kis ka
panw us ke bhi to zamin par hain
aasman par dimagh hai jis ka
qabl-az-waqt karti hai mahsus
tajraba tez hai chhaTi his ka
aib dekhenge log bolenge
band munh kijiyega kis kis ka
aane wala salam karta hai
hai ye 'sabir' usul majlis ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.