dil tha apna kabhi dahshat-zada virane se
dil thā apnā kabhī dahshat-zada vīrāne se
aaj dam ghuTtā hai bastī kā ḳhayāl aane se
go ki ik 'umr ta'alluq rahā maiḳhāne se
haath TūTeñ jo lage hoñ kabhī paimāne se
kitne dil Tuut ke bikhre kise ehsās huā
shor barpā huā ik jaam ke gir jaane se
maiñ gulistāñ meñ huuñ jab tak to añdhere kaise
bijliyoñ kā hai ta'alluq mire kāshāne se
talḳhiyāñ tohmateñ dushnām-e-zamāna 'az.har'
tohfatan ham ko milā aap kā kahlāne se
dil tha apna kabhi dahshat-zada virane se
aaj dam ghuTta hai basti ka KHayal aane se
go ki ek 'umr ta'alluq raha maiKHane se
hath TuTen jo lage hon kabhi paimane se
kitne dil Tut ke bikhre kise ehsas hua
shor barpa hua ek jam ke gir jaane se
main gulistan mein hun jab tak to andhere kaise
bijliyon ka hai ta'alluq mere kashane se
talKHiyan tohmaten dushnam-e-zamana 'azhar'
tohfatan hum ko mila aap ka kahlane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.