dil tha be-kaif mohabbat ki KHata se pahle
dil thā be-kaif mohabbat kī ḳhatā se pahle
lutf aisā nahīñ aayā thā sazā se pahle
haa.e andāz-e-mohabbat bhī 'ajab thā un kā
kar rahe the vo jafā mujh pe vafā se pahle
kis qadar terī du'āoñ meñ asar thā ai dost
ho gayā huuñ maiñ sehat-yāb davā se pahle
kyā batā.ūñ tujhe hamdam ki thā abtar kitnā
haal merā tire dāman kī havā se pahle
baat ye merī zarā ġhaur se sun lo 'dānish'
kaam karnā na koī nām-e-ḳhudā se pahle
dil tha be-kaif mohabbat ki KHata se pahle
lutf aisa nahin aaya tha saza se pahle
hae andaz-e-mohabbat bhi 'ajab tha un ka
kar rahe the wo jafa mujh pe wafa se pahle
kis qadar teri du'aon mein asar tha ai dost
ho gaya hun main sehat-yab dawa se pahle
kya bataun tujhe hamdam ki tha abtar kitna
haal mera tere daman ki hawa se pahle
baat ye meri zara ghaur se sun lo 'danish'
kaam karna na koi nam-e-KHuda se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.